Wednesday, 7 January 2026

Chann-aan! ve teri chaan-ni, taariya! ve teri lo

 Chann-aan! ve teri chaan-ni, taariya! ve teri lo Chann pakaave rotiyan te taara lave kanso

Asin saaye shiggar dopehar de, saanu kandhaan liya lukk-o Saanu yaar ne jithe aakhiya asin othe rahe kharro

Main karaan te kalli ki karaan? kade hass pawaan, kade ro Kade charkha uth ke daah lavaan, kade chakki dewaan jho

Asin hass hass umar langha layi, tainu shak na ditta pain Jo zakham si tere hijar de oh tethon laye lukk-o

Sochan de tamboo taan ke asi vela liya langha Yaadan de taage katt ke asin hanju laye pro

Main suraj adhi raat da, mere barfaan chaar chofair Meri agg taan agge bujh gayi, mera noor na methon kho

Kal taariyan heth kharro ke main Muztar! adhi raat Jad khirki kholi waqt di aayi sadiyan di khushboo

Gulaab saare ke saare sadqe

Gulaab saare ke saare sadqe Aye sukoon-e-hayat! Tumhare sadqe

Haseen surat ye keh rahi hai ke Chaand aa ke utaare sadqe

Tumhari aankhon pe shayari ke Tamam tar istiaare sadqe

Woh muskuraye to us ke sar se Karoon mein laakhon sitaare sadqe

Ye dil tumhi par fida hua hai Ye jaan tum par hai waari sadqe

Qahar se qatal kiya naaz se li jaan kabhi

 Qahar se qatal kiya naaz se li jaan kabhi!! 

Aap mere liye har haal mein jallaad rahe.

Sardi to mausam ki thi, dil to insano ke thay

 Sardi to mausam ki thi, dil to insano ke thay, Baraf hathon par jami thi, rawayye pathron ke thay.

Chaye zara si thandi ho to shikayat jaag uthti hai, Dil jab thande ho jayein to, usool kahan rehte thay.

Hum ne har sard raat ka ilzam mausam par rakh diya, Sach ye hai, ye shehar andar se hi murdon ke thay.

Ab dhoop bhi aag bane to koi farq nahi parta, Jalne wale khwab thay, log to rakhon ke thay.

Hum ne kab chaha ke woh shakhs hamara ho jaye

 Hum ne kab chaha ke woh shakhs hamara ho jaye, Itna dukh jaye ke aankhon ka guzara ho jaye.

Aur hum jise paas bitha lein woh bichar jata hai, Tum jise hath laga do woh tumhara ho jaye.

Tum ko lagta hai tum jeet gaye ho mujh se? Hai yahi baat to phir khel dobara ho jaye?

Friday, 27 March 2015

Yeh kaisa rog hai janaa

Ajab sanjog hai janaa, yeh kaisa rog hai janaa.......???
Barry boorrhay btatay thy, kaee qissay sunaty thy.......!!!
Magar hum manty Kb thy, y'y sb kuch janty kb thy.......!!! 
Boht pukhta irrady, Kis tarah se toot jaty hain, hamy idraak hi kb tha, hamy kamil bhrosa tha........!!!
Hmary sath Kisi sorat b aisa ho nai sakta.
Kabhi dil Apna kaboo se, be-kaboo ho nai skta.......!!!
Magar....!!
Magar,
Phir yoon hoa janaa, na jany qn Hua janaa......???
Jigar ka khon Hua aisa,teri aabro ki jnbish per,tery qadmon ki aahat per,gulabi muskraht per,
Tere sir k ishary per,
Sada-e-dilrubana per,
Chehra-e-masumana per,
Nigh-e-qatilana per,
Jafa-e-mehrmana per,
Ada-e-kaafirana per,
Ghayal ho gaye hm bhi......!!!
Barry be-baak phirty thy,mayal ho gaye hm bhi, sakhawat kerny aeye thy,aur sayel ho gaye hm bhi......!!!
Barry boorrhon ki in batoon k, qaayel ho gaye hm bhi......!!!